Saturday, August 1, 2009

:|



Kyun pyaar us par hi aata hai
Jo mil kar bhi naa mil pati hai
Kaise ye usse batayein hum
Tujh bin reh na paayein hum
Kyun baar baar woh satati hai
Khwaabon main aakar jagati hai
Bhulana us ko chahein hum
Par kis tarah bhulaayein hum
Woh maan main har dum rahti hai
Dharkan mein dhak-dhak dharkti hai
Hain essi Ehsaas se zinda hum
Kyu ki pyar issi ko kehte hain.


Sunday, July 19, 2009

TUM= YOU


Humhare toh har alfaaz mein hota tha pyaar
Kash TUM do labz hi keh paati
Bich humaare hoti thi kitni baatein
Kash TUM kuch ka matlab bhi samajh paati
Tumhein baaton hi baato mein har baat keh jaata ;
Kisi ka TUM kash dard hi jaan jaati
Kitne bahano se kiya izhaar
Ki bas TUM iqraar hi kar paati
"hUm to the tayaar chalne ko puri zindagi;
kash TUM kabhi do kadam hi badha pati"

!!!!!!!!!

Wednesday, July 8, 2009

Aaj achanak fir se !

Bahut purani yaad ko aaj hamne yaad karke dekha hai
Teri har baat ko awaz bana kar dekha hai
Sisak raha hai aaj dil fir tute- adhure baaton se
Aaj unhi armano ko khali pade “Samay’ main saja kar dekha hai
Likhta raha hai DIL Na jane kya- kya
Par khali pade is kagaz Ko “NAJRO’ Se bhar kar dekha hai
Bhar lu tujh ko apni baho main
Bas isi waqt ke intazar mein apni "Umar" ko dhalte dekha Hai
Har pal , har saans mein saath hai tu
Bas isi khayal ko apni “zindgi ka khel” Bana Ke Dekha Hai !!
:-)
!!!!

Saturday, May 9, 2009

hUm tUm !


"hUm tUm mein sirf ek hi problem hai ki tum ke begar hum adhure hain "

Saturday, February 7, 2009

Wednesday, January 21, 2009

:: Last moments ::

Koi shikwa to ho, kuch shikayat bhi ho,
jaan jayegi meri, yun chup na raho..
milte nahi hain sirf ,fool rahon pe hardam
chubhan katon ki bhi , kabhi jara tum saho.
achchhi nahi lagti hai, gam-khumari tumhari
muskrahaton pe apne, na pahre dharo.
koun deta hai sath, manjilon tak yahan pe
do kadam ka sath apna , na ruswa kro.
na koi ruka tha, na main bhi rukunga
pegayam hawayon ka hai aaya, sang mere baho
main hoon ek musafir, tum ek hasina
chala jaunga galiyon se teri, Tab tum khush rahna !!

Thursday, January 8, 2009