Sunday, July 19, 2009

TUM= YOU


Humhare toh har alfaaz mein hota tha pyaar
Kash TUM do labz hi keh paati
Bich humaare hoti thi kitni baatein
Kash TUM kuch ka matlab bhi samajh paati
Tumhein baaton hi baato mein har baat keh jaata ;
Kisi ka TUM kash dard hi jaan jaati
Kitne bahano se kiya izhaar
Ki bas TUM iqraar hi kar paati
"hUm to the tayaar chalne ko puri zindagi;
kash TUM kabhi do kadam hi badha pati"

!!!!!!!!!

Wednesday, July 8, 2009

Aaj achanak fir se !

Bahut purani yaad ko aaj hamne yaad karke dekha hai
Teri har baat ko awaz bana kar dekha hai
Sisak raha hai aaj dil fir tute- adhure baaton se
Aaj unhi armano ko khali pade “Samay’ main saja kar dekha hai
Likhta raha hai DIL Na jane kya- kya
Par khali pade is kagaz Ko “NAJRO’ Se bhar kar dekha hai
Bhar lu tujh ko apni baho main
Bas isi waqt ke intazar mein apni "Umar" ko dhalte dekha Hai
Har pal , har saans mein saath hai tu
Bas isi khayal ko apni “zindgi ka khel” Bana Ke Dekha Hai !!
:-)
!!!!